Windows Deployment Services | WDS Installation And Configuration In Hindi

Windows Deployment Service Installation And Configuration
Windows Deployment Services


Windows Deployment Service:-
  • Is Service ka use Network Se Jude Computers me Center Point Se Window Installation ke liye kiya jata hai.
  • Ye Service Server System par hoti hai.
Requirements Of WDS Installation:-

WDS Installation Proccess:-
  • Sari requirements complete hone ke bad Ab aapko Windows Deployment Service Ko Install krna hai.
  • Ab aapko server system par aana hai aur Server Manager me jana hai.
  • Server Manager me aapko Roles Pe Click Karna hai aur baad me aapko Add Roles me jana hai. 
Click On Add Roles
  • Next Par click Kare.
  • Ab aapko Windows Deployment Services Par Mark Karna hai aur Next Par Click Kare.
Windows Deployment Service

  • Ab Aapko Apni Roles Services Select karni hai aur Next par click karna hai.
Roles Services
  • Ab Confirmation Me aapko Next Karna hai.
  • Ab aapko Install par click karna hai..Iske baad Process Start Hogi Jisme 1-2 minutes lag sktey hai.
Installation process

WDS Configuration Proccess:-
  • Ab aapko Server me Start Pe click karna hai
  • Ab Administratives Tools Me jaye aur Windows Deployment Services par click kare.
  • Ab aapke samne ye window open hogi,jisme ye btaya hoga ki aapka wds configure nahi hai..
Wds server not configured window
  • Ab aapko Apne Full Computer Name par right click karna hai Aur Configure Server par click karna hai..
Configure Server
  • Ab aapko Requirements read ker leni hai aur Next par click kerna hai..
Wds


  • Ab aapko Remote Installation Folder Ki Location Set kerni hai,jisme aapka data save hoga.
  • Isme aap Bydefault Rahne de aur Next par click kare.
Remote Installation folder Location
  • Ab aapko Do Not Listen On Port 67 par mark karna hai aur Next Par click karna hai.
DHCP Option 60
  • Ab aapko Pxe Server Intial Settings kerni hai,isme aapko Respond To All Clients Computers par mark kerna hai...
PXE Server Initial Settings
  • Ab Kuch Process hone ke baad configuration finish ho jayega,Process Complete hone ke baad Finish par click kare.
Finish Process
  • Ab aapka WDS Configuration Complete ho chuka hai.
  • Ab aapko Isme Image Add karni hai.
Add Install Image In WDS Server:-
  • Ab aapke pash Windows Ki ek Bootable CD/DVD honi chahiye,ise aapko server system me dalna hai.
  • Ab aapko WDS server open kerna hai aur computer name par double click kerna hai,ab aapke samne kai options honge.
  • Isme aapko Install Images par click kerna hai..
  • Ab Add Install Image kare..
Add Install Image
  • Ab Aapko Image Group 1 Type karna hai..
Image Group 1
  • Ab aapko us bootable image ko open kerna hai,jo CD/DVD me hai..
  • Iske liye Browse pe click kare..
Browse your Image
  • Ab aapko Computer me jana hai aur CD/DVD ko open kerna hai,jo aapne dali thi..
  • Isme aapko Sources Pe click karna hai..or open kare..
Sources
  • Ab aapko Install.wim Ko select kerna hai aur open kare..
Install.wim
  • Ab aapko Window Edition choose kerna hai,isme sabhi selected hote hai,isme jo aapko install kerna hai use select kre aur Next par click kare.
Window Edition


  • Ab aapko apni image ka Name dena hai aur Next Karna hai..
Image Metadata
  • Ab aapke samne ek Summary window aayegi,isme aapko Next par click karna hai..
  • Ab Adding Image Process start ho jayegi,isme 5-10 minutes lag sktey hai..
Adding Image Process
  • Ab Process complete hone ke baad aapko finish kerna hai.

Add Boot Image In WDS Server:-
  • Ab aapko Computer Name pe double click kerna hai..
  • Ab aapko Boot Image par right click kerna hai..
  • Ab Add Boot Image par click kare.
Add Boot Image
  • Ab Aapko apni image par jana hai,jesa install image me kiya tha.Browse me jana hai..
  • CD/DVD open kerne ke baad aapko Sources Ko open kerna hai..
  • Sources me aapko Boot.wim ko select kerke open pe click kare.
Boot.wim
  • Ab aapko Image name dena hai aur Next kerna hai..
  • Ab Adding Boot Image ka process start ho jayega,isme 5-15 minutes lag sktey hai.
Adding Boot Image
  • Process Complete hone ke baad aapko Finish par click karna hai.

Ab aapki sari process complete ho chuki hai.ab aapka wds server full configure ho chuka hai.
  • Ab apne clients system par Boot Menu open kre aur Pxe lan port enabled kerde.
  • Ab apne clients ko boot kraye aur Network Boot Option ko select kare.
  • Aapka computer boot ho jayega.
  • Isi trah sabhi computers par kare.
I hope ki yeh post aapko achha lga hoga,please ise share kre aur koi problem ho toh comment kre.
Thanks For Read.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6

Munjya Movie Download Hd | Munjya Full Hd Movie Download