Top 10 Kaam Ke Mobile App,Jo Bina Internet Bhi Kertey Hai Kaam

Top 10 Kaam Ke Mobile App,Jo Bina Internet Bhi Kertey Hai Kaam
Top 10 mobile app
Aaj ke  dor me har kisi ke pash smartphone hai lekin bina application ke aapka smartphone kisi kaam ka nahi hai.Samrtphone apr applications ke kaam kerne ke liye phone me internet aham source hota hai,lekin har jagah internet uplabdh ho aisa jruri nahi hai.internet na hone ki stithi me aap aisi apps ka use ker sktey hai,jo offline bhi kaam kerti ho.jyadatar apps ka upyog internet ke sath hi kiya jata hai.internet na hone par aap unka upyog nahi ker sktey hai.
Kai aise apps hai jinka upyog aap offline bhi ker sktey hai.
hum aapko top 10 apps ki jankari denge jo offline bhi kaam kertey hai.


1. Indian Railway Offline Time Table:

Rail ticket ka PNR check kerne ke liye baar baar internet upyog kerna pdta hai.kintu internet ki suvidha na hone par bhi aap aasani se apna PNR check ker sktey hai.Indian railway offline time table app ke dwara aap na  kewal offline PNR dekh sktey blki train ka time table aur root bhi check ker sktey hai.kewal ise download kare or update kerne ke liye internet ki jrurt hogi.


2. Offline Map And Navigation:

Is app ko aapko apne smartphone me download kerne ke baad aapko iska upyog kerne ke liye internet ki jrurt nahi hai.kai bar kahi bahar jatey waqt hmara internet kaam nahi kerta hai.nyi jagah ki jankari na hone par navigation ki jrurt padti hai.aise me is application ka upyog kiya jata hai.iske madhym se aap aasani se offline map aur navigation ka upyog ker sktey hai.yeh application 33 languadges ko support kerta hai.isme GPS uplabhd .sath hi speed limit ki warning bhi di jati hai.


3. Tripadviser Offline App:

Aap kahi bahar jane ki yojna bna rhe hai,toh us jagah ke bare me janne ke liye aap tripadviser offline app ka upyog ker sktey hai.yeh  aapko kai jagah ke bare me pdne ke alawa wha ke photo aur fidback bhi uplabdh honge.jo ki aapki yatra ko kafi aasan bna sktey hai.tripadviser offline app me 300 se adhik cities ke review aur photos diye gye hai.


4. English Hindi Dictionary-Hinkhoz:

Kai bar kaam kertey waqt hmare samne kuch aise word aa jatey hai jinka arth hme pta nahi hota hai.aise me is application ka upyog kiya jata haai.yeh application binaa internet ke bhi kaam kerti hai.


5. Offline waither forcast:

Bahar jane se phele yadi mausam ka pta ker liya jaye toh bahar jana aaramdayak ho skta hai.aise me offline waither forcast app ka use ker sktey hai.is offline waither app ke dwara aap offline bhi mausam ki jankari prapt ker sktey hai.yeh 14 languadge ko support kerti hai.

6. Amazon kindal app:

Yadi aap book pdne ka sok rakhtey hai aur kahi safar me jatey smay bhari-bharkam kitabo ke bojh se bachna chahtey hai toh aap amzon kindal app ko use ker   sktey hai.yha aapko offline book reading ki suvidha uplabdh hai.book search kerne ke liye net ki jrurt pdegi.ek bar book save kerne ke baad aap kabhi bhi us book ko pad  sktey hai.

7. Offline Music App Spotify:

Is app me na kewal aap ek lakh se adhik gane track ker sktey hai balki unhe apne play list me bhi set ker sktey hai.yha uplabdh music ka aannd aap offline bhi le sktey hai.yedi aapke phone ki internal storage me jagah nahi hai,toh aap gano ko maicrosd card me bhi surkshit ker sktey hai.

8. Adobe photoshop  express:

Adobe photoshop ka upyog aap aksar kertey hi honge.lekin kam hi log jantey hai ki ise offline bhi use ker sktey hai.is app ko aap kewal play store se download ker sktey hai or offline use ker sktey hai.


9.Indian Receipe Free:

Yadi aap khana bnane ka sok rakhtey hai aur usse bhi jyhda khana khane ka shook rakhtey haitoh yeh app aapke liye kafi upyogi ho skta hai.is app ko ek bar download kar aap bina internet ke aasani se bhartiy khano ki reciepe ke bare me sikh unhe bna sktey hai.


10. Kelori Counter myfitnespal:

Apni health per dhyan rkhna chahtey hai toh yeh app ek achha option hai kyonki is upyog ke liye aapko wifi ya data ki aavesekta nahi hai.aap ise offline bhi aasani se use ker sktey hai.



Toh friends kesa lga yeh post comment kerke jrur bataye.hmara fb page bhi like jrur kare.


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6

Munjya Movie Download Hd | Munjya Full Hd Movie Download