Apne Simple Laptop Ko Touch Screen Laptop Kese Bnaye

Apne Simple Laptop Ko Touch Screen Laptop Kese Bnaye

simpale laptop ko touch screen laptop kese bnaye

Aajkal har koi touchscreen chahta hai kyonki touchscreen ka zmana hai.aajkal market me laptop bhi touchscreen aane lge hai.lekin agar aapke pash touchscreen laptop lane ke liye paise nahi hai toh preshan hone ki jrurt nahi hai,aaj me aapko ek aisi trick btawunga jisse aap apne laptop screen ko touchscreen bna sktey hai.

Airbar ek aisa device hai,jiski help se simple laptop ko touchscreen laptop bnaya ja skta hai.phele yeh india me nahi milta tha,lekin ab yeh india me bhi aa chuka hai.

Ise aap kisi bhi retail website se khrid sktey hai,amazon par milne wale airbar ko swidish company niyonod ne 3 veriyant me teyar kiya hai,phela veriyant 13.3 inch ke laptop ke liye aur dusra 14 inch ke laptop ke liye aur tisra 15.6 ke laptop ke liye.

Airbar light interpolation technic par kaam kerta hai.airbar aapke laptop par light dalta hai aur jab aap laptop ki screen ko touch kertey hai toh screen par pd rhi light ek fizical point se takrati hai (yani aapki ungli se) aur aapka laptop work touchscreen ka ban jata hai.

Main baat yeh hai ki airbar ke liye aapko laptop me kisi prkar ka software aur driver install kerne ki jrurt nahi hai.
Airbar ek Usb port ke jriye aapke laptop se connect hoga.

Use Kese Kare:

Airbar device ko sirf laptop me connect kerna hoga,jiske baad aapka laptop apne aap touchscreen ban jayega.
Is device ki main baat yeh hai ki yeh bilkul slim hai,jisse laptop ki dishplay screen ke niche lgane par pta bhi nahi chlta ki screen par kuch lga hai.
abhi yeh 15.6 inch ke screen wale laptop ke sath kaam kerti hai.

Post pasand aaye toh share jrur kare.
Thanks.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6