WINDOW 8 OR 8.1 KAISE INSTALL KARTE HAI

WINDOW 8 OR 8.1 KAISE INSTALL KARTE HAI JAANE HINDI ME

      Es post me mai aapko batunga kaise hum window 8 or window 8.1 ko install karte hai window 8 ka upgrade version window 8.1 hai window ik popular operating system hai world me sabse jyada operationg system window hi use kiya jaata hai microsoft apne new – new edition market me laata rehta jaise is time par window 7 ke baad window 8 or 8.1 aayi or fir kuch time baad hi window 10 bhi market me aa gayi is post me mai aapko window 8 or 8.1 ko install karna sikhaunga kaise hum window 8 or 8.1 ko install kar sakte hai to chaliye jaante hai kaise window 8 or 8.1 ko install karte hai step by step.



Window 8 ya 8.1 ki apke pass bootable pen drive ya dvd honi chahiye jisse aap window ko apne computer me install karenge me apko dvd se installation batata same aise hi pendrive se bhi window install hoti hai.

·      Sabse pehle apko dvd ko dvd writer me daalna hai or computer ko restart karna hai fir F2 ya DELETE ki key ko press karna hai jab computer restart ho raha ho uske baad samne BIOS setting aayegi usme apko boot me jaakar first selection me apni dvd ya pendrive ko select karna hai or fir exit par jaakar setting ko save karna hai or fir exit karna hai fir apka computer restart hoga fir apke koi bhi key ko press karna hai keyboard ki apki dvd run karne lagegi or apke samne window 8 ya 8.1 ka logo dikhai dene lagega.

know in hindi for net


·      Fir ik new window open hogi usme apko apni language,time and currency formet or input method select karna hai or next par click kar dena hai.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apke samne jo window show hogi usme apko install now par click karna hai.

hindi me jaane internet ko

·      Uske baad apko apni authorized key ko type karna hai or next par click kar dena hai agar apke pass key nahin hai to aap skip par click karke bhi aage badh sakte hai.

hndi me jaane internet ko

·      Agar apke pass ik se jyada window edition hai to jo aap install karna chahte hai uskper click kare or next par click kar de.
hindi me jaane internet ko

·      Window Microsoft ke license term ko padhe or I accept the license term par tick lagakar next par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Fir aapko custom installation par click karna hai.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apke samne apki hard drive show hogi uske partition karne hai apko jitne aap chahe part bana sakte hai par C drive sirt system setup ke liye hi use kiya jaata hai c ke alawa aap D OR E drive bana le apne other data ko rakhne ke liye aap drive option pe click karke fir new par click karke partition bana sakte hai.

knowinhindifornet.com

·      Partition bana lene ke baad aap C drive ko select karke next par click kar de.

know in hindi for net

·      Ab apka window setup start ho jaayega or ise pura hone me time lag sakta hai.

hindi me jaane internet ko

·      Jab setup complete ho jayega to aapko window other apps ko install karegi or aage ki process me le jaayegi.

hindi me jaane internet ko

·      Fir aapke samne ik new window show hogi usme aap Personalize me window ke colour choose kar sakte hai or apne pc ko koi name de sakte hai uske baad apko next par click karna hai.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apse pucha jaayega aap window ki khud setting karna chahte hai ya auto setting ko hi use karna chahte hai to aap jo chahe select karke aage badh sakte hai.

hindi me jaane internet ko

·      Fir agar apki window 8 hai to apse apka Microsoft email maanga jayega agar 8.1 hai to ye option show nahin karega.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apse apka user name or password pucha jaayga aap use feel karke finised par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Fir aapki window first use ke liye start hone lagegi.
hindi me jaane internet ko
·      Or fir apki window install ho chuki hai aap ise ab use kar sakte hai or ise activate bhi kar sakte hai.


hindi me jaane internet ko


Apko ye post kaisi lagi hume comment karke jarur bataye or social sites par share jarur kare.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6

Munjya Movie Download Hd | Munjya Full Hd Movie Download