Whatsapp Ka Naya Security Feature Kya Hai Jane Hindi Me

Whatsapp Ka Naya Security Feature Kya Hai Jane Hindi Me
Whatsapp two-step verification

Whatsapp ne bhi facebook,gmail ki tarah two- step verification suvidha suru kerdi hai.

Technology ke digaj company google,apple,microsoft aur facebook ki tarj par massanging app whatsapp ne bhi users ki security ke lihaj se two-step verification suvidha suru ker di hai.
yeh ek aisa security feature hai jiske aa jane se ab users ke whatsapp account se chhedkani kerna muskil ho jayega.facebook ke swamitv wale whatsapp ne yeh feature sabhi users ke liye suru kiya hai.


Jane Kya Hai Two-Step Verification:

Yeh ek veklip feature hai ,jiska istemal account ko aur jayada secure kerne ke liye kiya jata hai.jab user two-step  verification ko enable kertey hai toh unse ek 6 digit ka passcode bnane ke liye kha jata hai.jab bhi koi whatsapp par phone no. verify karega toh is passcode ko manga jayega.
Yeh feature suruwat me sirf beta version ke liye tha,ab sabhi users android aur ios iska istemal ker sktey hai.

Agar aapne abhi tak is feature ka istemal nahi kiya hai toh hum aapko kuch aasan steps me ise batayenge.

Is tarah kare enabIe :


  • Sabse phele Whatsapp open kare 
  • Settings me jaye
  • Account me jaye
  • Two-step verification par click kare
  • Ab niche likhe enable option par click kare
  • 6 digit ka passcode dale,re-enter kare
  • Ab e-mail address dale,aap chahe toh ise chhod sktey hai
  • Skip par click kare
  • Ab yeh enable ho gya hai
  • aap ise settings me jaker kabhibhi disable ker sktey hai.
Last ke 2 veklip options me whatsapp aapke e-mail address ko account se link ker deta hai.whasapp e-mail par ek link bhejti hai ,jiske jriye users 6 digit passcode bhul jane ki stithi me two-step verification band ker skta hai.users passcode na bhul jaye iske liye whatsapp bich me aapse passcode dalne ke liye puch skta hai.
Thanks to read.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6