Kese Kare Apne Smartphone Ko Superfast

Kese Kare Apne Smartphone Ko Superfast
Kese kare apne smartphone ko superfast

Aaj hum aapko android device me aane wali preshaniyo ke bare me btayenge. Android duniya bhar me use kiya jane wala smartphone hai.yeh aapko sastey me uplabdh ho jata hai.android phone me kai preshaniyan bhi aati hai.

In preshaniyo ko thik kerne ke tips:

Custom UIS:

Internal storage full hone par aksar phone slow ho jata hai.aise me jin apps ka use nahi kertey hai unhe delete ker dena chahiye.iske alawa phone me store data  ko maicrosd  card me move ker dena chahiye.
Apps ka cache data bhi delete ker is smasya ko thik ker sktey hai.iske liye aapko phone ki settings-Storage me jaker cache data ko delete kerna hoga.isse apps ka cache data clear ho jayega.is kaam ko kerne ke liye c-cleaner jese apps bhi play store me uplabdh hai.


Battery ka jaldi khtm hona:

Users apne device me kam battery life ki smsya ka aksar jikr kertey hai.location aur brightness settings me bdlaw ker is smsya ko dur ker sktey hai.phone ki settings me jaker location aur select battery saving mode ko click kare.brightness ko auto se htaker ise apne hisab se save kare.iske atirkt kuch phones me toh advanced battery saving modes bhi uplabdh hai.

Screen Par Koi Response na hona/hang hona:

Kai bar aisa hota hai ki phone ki screen koi bhi response nahi deti hai.aise me preshan na hone ki jrurt hai.yeh smasya aasani se fix ho jayegi.iske liye aapko phone ko restart kerne ki jrurt pdegi.power buton ko dbaker phone ko off kare aur kuch minuto  ke baad phone ko ke bar fir on kare.

App Crass Hona:

Android phones me kai bar apps crass ho jati hai.aisa kai bar nye update ki wajah se bhi hota hai.isliye agar app update nahi hai toh use update ker le.agar app update hai toh iska ek hal yeh hai ki app ko force close kare aur multitasking se remove ker app ko dobara open kare.

Google Play store:

Kai bar android users ko aisi samsya ka bhi samna kerna pdta hai jab google play store kaam nahi kerta hai or crass hone lgta hai. iske liye settings - application - all apps - google play store - storage me jaker clear cache kare. phone ko restart kare smasya dur ho jayegi.

Toh friends kesa lga yeh post comment kerke jrur btaye.hmara facebook page bhi like ker de.
Thanks.




टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6

Munjya Movie Download Hd | Munjya Full Hd Movie Download

1 Mobile Me 2 WhatsApp Kaise Use Kare