Aise Kare PDF file ko word file me convert

Aise Kare PDF file ko word file me convert 

Aise kare pdf file ko word file me convert

Hii Friends hum aapke ek aur newest post leker aaye hai,jisse aap pdf  file ko word file me convert ker saktey hai.pdf file me aap chahker bhi text ya image nahi jod saktey.
Yadi aapke pash koi pdf file hai toh usme editing kerne me samsya aati hai.
Aise me aap pdf file ko Microsoft Word File me badlker aasani se editing ya typing ker saktey hai.
Lekin aisa kerne ke liye aapko kuch apps ya software ki madad leni hogi.jinki madad se aap pdf ko word file me convert ker saktey hai.

Aaiye jantey hai aise 5 software jo pdf ko word file me badlne me madad krenge

1. PDF TO WORD: 
Yeh ek muft seva hai jisme aap pdf file ko DOC file yani word file me badal saketey hai.ise upyog kerne ke liye aapko kewal is software ko open kerna hai aur fir isme aapko apni file upload kerne ke baad format chunna hai fir apna email likhna hoga.
iske baad aapko pdf convert hoker emailke madhyam se prapt ho jayegi.


2.FREE PDF TO WORD:
Is app ki madad se tej gati se pdf file ko word me badla ja sakta hai.isme aapko form recognition,hyperlink detection,table recovery,rotated text recovery jese khash fitures bhi uplabdh honge.


3.DOC2PDF ONLINE:
Iska upyog ker pdf file ko kewal word me hi nahi balki RTF,PPT,XLS,HTML,JPG jese format me bhi badal saktey hai,kintu isme upyog hone wali pdf file ka size adhaktam 2 mb hona chahiye.


4.PDF CONVERTER: 
Pdf ko any kisi file me badlane ke liye is app ka kafi upyog kiya jata hai.isme pdf file ko DOC,XLS,RTF,JPG,PNG ke rup me badla ja skta hai.
iski khasiyat hai ki isme aasani se protected pdf files ko bhi convert kiya ja sakta hai.


5.ADOBE ACROBATE READER:
Acrobate reader acrobate pdf reader sabse locpriy software hai jisme aap pdf file create kerne ke sath use text file me bhi badal sktey hai

toh friends kesa lga yeh post comment me jrur btaye aur hmara fb page like aur is post ko share kerna na bhule.
post ko end tak pdne ke liye aapka dhanywad.

Aapka friend JEET SAINI



टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6