Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare
Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare
Aaj ke time me har kisi ko jaldi hoti hai. Itni jaldi ki hum apne aap ko bhi bhool jate hai. Ayse me apna smartphone kahi bhool aana aam bat hai or hume mobile lene wapis jana padta hai. But problem tab hoti hai jab hum apne mobile phone ko kahi rakh kar bhool jate hai ya fir mobile kahi par gi jata hai kho jata hai. But google ke pas iska bhi solution hai. Wo bhi aysa ki aapka phone aapko aasani se mil jayega.
But google se apne khoye huye mobile ka pata lagane ke liye aapke khoye huye mobile me kuch cheezo ka hona jaruri hai. Inke bina aap apne mobile ki location pata nahi kar sakte.
- Aapke khoye huye mobile me internet chalu hona chahiye.
- Mobile me location ki services activate honi chahiye.
- Mobile me google apps insall hona jaruri hai. Or latest version hona chaiye.
Agar aapke mobile me ye 3 option available hai to don;t worry aapka khoya hua mobile aasani se mil jayega. Bas aapko google ke kuch simple step follow karne hai. Jinke bare me mai aapko step by step bta raha hu.
Apne Khoye Huye Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye – Master Tricks, Track My Mobile, Find My Phone
Apne smartphone ka pata lagane ke liye aapko computer ki jarurat padegi kyuki Mobile me ye trick kaam nahi karegi. Mobile me aap android device manager use kar sakte ho.
- Sabse pahle aap google.com site par jaye or apni us gmail id se log in kare jisse aapne khoye huye mobile me log in kiya hua hai. log in karne ke bad google search box me “Track My Mobile” Likh kar search kare.
- Yaha check kare ki google aapka sahi mobile search kar raha hai ya nahi.
- Thodi der me google aapke mobile ki location track kar lega. Uske bad aap us jagah par jaye.
- Google ke btaye place par pahuchne ke bad aap Ring option par click kare. Isse aapke mobile me 5 minute tak full aawaz me rink hogi. Agar aapka mobile silent mode par hoga to bhi ring bajegi.
Agar aapka is post se related koi sawal hai to aap comment me puch sakttey ho.
Agar aapko yeh post pasand aaye toh ise social site par share kerna na bhule.
hmare latest posts ki jankari fb par pane ke liye hmare fb page ko like kre.
टिप्पणियाँ