WHATSAPP SE 1 GB KI FILE KAISE SEND KARE
WHATSAPP SE 1 GB KI FILE KAISE SEND KARE
Dosto aaj me apko bataunga kaise hum whatsapp se 1 gb tak ki file, video etc ko send kar sakte hai agar aap whatsapp users hai to ap jante honge ki whatsapp se aap 20 mb tak ki file hi send kar sakte hai whatsapp aajkal ik bahut hi popular messaging app ban gaya hai or log bhi ise bahut jyada pasand karte hai kyoki ye bahut hi saral or fast messaging app hai bahut se business karne wale log bhi whatsapp ke dwara hi apne saman ko dekhkar mangate hai or whatsapp se hi order dete h yani whatsapp sirf messaging me hi use nahin hota whats app business me bhi use hota hai or kabhi kabhi hume 20 mb se lakar 1 gb tak ki file kisi ko bhejni pad sakti hai jo whatsapp support nahin karta hai kyoki aap whatsapp se sirf 20 mb tak ki file ko hi send kar sakte hai agar aap video hi kisi ko send karna chahte hai or wo 20 mb se jyada hai to aap nahin bhej pata aajkal android phone ka jamana hai har kisi ke pass android phone hi hai or whatsapp bhi har koi use karta hai or aap video bhi android phone me acchi quality ki dekhna pasand karte hai or kisi ko send bhi acchi quality ki karna chahte hai par aap 20 mb se jyada long video ko send nahin kar pate hai par me apko bataunga kaise aap 20 mb se jyada long video ya other file ko kisi ko kaise send kar sakte hai to chaliye jante hai step by step.
1. Sabse pehle aapko google paly store se whatstools name ki application ko install karna hai or use open karna hai Or fir click here to connectpar click karna hai.
2. Fir apko ise apni gmail id se connect karna hai or fir allow par click kar dena hai.
3. Fir apke samne ik attach pin bani dikhai degi apko uspar click karna hai.
4. Fir apke samne kuch file formet dikhai denge jin formet ki files ko aap send kar sakte hai.
5. Fir aapko apne whatsapp me jana hai or fir us contact chat ko open karna h jise aap 20 mb se jyada ki file send karna chahte hai.
6. Fir aapko attach pin par click karna hai fir aap dekhenge ki niche bhi kuch file formet dikhai denge ap un file formet par click karke 20 mb se jyada ki file send kar sakte hai.
To dosto I hope aap log samjh gaye honge kaise hum whatsapp par 1 gb tak ki file send kar sakte hai apko karna kuch nahin hai bas ik app install karna hai or google drive se connect karna hai fir aap 1 gb tak ki file ashani se send kar sakte hai.
Apko ye post kaisi lagi hume comment karke jarur bataye or social sites par share jarur.
टिप्पणियाँ