FREE ME INTERNET KAISE CHALAYE

FREE ME INTERNET KAISE CHALAYE

Sabse pehle jaante hai internet.org ya free basic internet kya hai ?

      Internet.org ik free internet service hai is service ko facebook ke ceo mark zuckerberg ne 20 august 2013 ko publish kiya tha internet.org ka maksad un logo tak internet service ko pahuchana tha jo internet ko use karne se banchit hai yani jo mehnge internet plan ka kharcha nahin utha sakte hai jis karan se wo log internet ko pahuch se door ho jate hai is service ka maksad gaon tak internet ko pahuchana tha abhi bhi bahut se aise gaon hai jo internet ki pahuch se door hai.


hindi me jane internet ko

      India me internet.org ko reliance or facebook ne milkar launch kiya tha reliance india ki ik bahut badi telecom and brand company hai jiske bahut se product india me use kiye jate hai reliance ke gsm ke sath sath cdma customer bhi free internet use kar sakte hai internet.org se Free basic Internet Mumbai, Maharashtra & Goa, Gujarat, Bihar, Andhra Pradesh, Telangana, Tamil Nadu,Chennai, and Kerala user hi use kar sakte hai india me or ye service sirf mobile users ke liye hi available hai yani sirf mobile users hi is service ka fhayada le sakte hai android customer paly store se internet.org ka app download karke use use kar sakte hai or prepaid customers ko free internet use karne ke liye balance 20 paise minimum hona chahiye free internet par users google chrome, Internet Explorer, Mozilla Firefox, Opera Mini etc browser hi use kar sakte hai or customer free me Dictionary service,Language Translator, Health related Information, Daily, horoscope & Astrology, olx, Cricket updates,Job search on sites, Weather updates,Facebook, Free News on sites ko browse kar sakte hai.

Free basic internet yani internet.org kaise use kare jante hai step by step.



 ·      Sabse pehle apne mobile browser me internet.org ko open karna hai.

 ·      Fir ik page open hoga waha jo + ki button hai uspar click karna hai.

 ·      Uske baad apni language ko select karna hai.

 ·      Fir continue par click karna hai uske baad aap internet.org ke main page par pahuch jayenge.

 ·      Jaha par apko reliance ke sath or website ki list bhi open hogi jaha par aap free me un website ko click karke use kar sakte hai.
To dosto is post me humne jaana kaise hum free me internet use kar sakte hai internet.org ke dwara.


Apko ye post kaisi lagi hume jarur bataye comment karke agar apko hamari post pasand aayi ho to please ise share kare social sites par .

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6