aadhar card kese download kare bina kishi personal details ke
Hello dosto aaj me aapko bataunga kaise aap bina kisi details ke aadhaar card download kar sakte hai, jab aap apne aadhaar card ko banwane ke liye aadhaar enrollment center par jate hai to waha se apko ik slip milti hai jisme aapka enrollment number hota hai or aap usi number se apne aadhaar card ko download karte hai.
Agar aapki wo slip kho gayi hai or aapka original aadhaar card bhi nahi aaya hai to bhi aap apna aadhaar card download kar sakte hai, apna eaadhaar kaise download karte hai bina kisi details ke ye me apko is post me
bataunga to chaliye jaante hai kaise without details ke aadhaar card download kiya jata hai.
bataunga to chaliye jaante hai kaise without details ke aadhaar card download kiya jata hai.
· Pehle hum janenge kaise hum apna aadhaar number prapt kar sakte hai bina kisi aadhaar detail ke.
1. Sabse pehle aapko apne browser me https://resident.uidai.net.in type karke is site ko open karna hai or fir FIND UDI/EID par click karna hai.
2. Fir apke samne ik naya page open ho jayega name ki jaghe par apko apna name likhna hai uske baad next column hoga email id ka agar aapne aadhaar card banwate samay apni email id form me bhari thi to apni email id ko emil wale column me likhe agar apne apni email id ko register nahi karaya hai to bhi koi baat nahi email id ke column ke baad aapke samne phone number ka column aayga isme aapko wo phone number likhna hai jise aapne apna registeration ke samay form me bhara tha.
Note - Aap email address ya phone number me se kisi ik ko diye gaye column me bhar sakte hai agar email register nahi karaya to phone number bhare or agar phone number register nahi karaya hai to email address ko bhare.
Note - Aap apni enrollment id bhi yaha se prapt kar sakte hai aadhaar number ki jaghe enrollment number ko select karke baaki process same rahegi
3. Fir apke samne ik captcha image show ho rahi hogi aapko us image me dikh rahe words ko niche diye gaye column me bharna hai.
4. Uske baad apko get otp par click karna hai get otp par click karte he aapke phone number ya email id par ( jise aapne yaha diye gaye column me bhara tha ) ik message aayega jisme ik one time password yani otp diya hoga use apko enter otp wale column me bharna hai or verify otp par click karna hai fir apka aadhaar number apke phone me sms ke dwara ya email me mail ke dwara aa jayega.
· To dosto ab aapne apna aadhaar number prapt kar liya hai Ab jante hai apne eaadhaar ko kaise download kiya jata hai aadhaar number se.
1. Eaadhaar download karne ke liye sabse pehle aapkohttps://eaadhaar.uidai.gov.in link par click karna hai jab website open ho jaye to aapke samne get eaadhaar form open ho jayega eaadhaar kaise parpt kare is form ko bharkar chaliye jante hai step by step.
1 - Sabse pehle apko aadhaar ko select kare jaise image me select hai.
2 - Fir aapko apna aadhaar number type karna hai.
3 - Fir apko apna full name type karna hai jo apne aadhaar card banwate time register karaya tha.
4 - Fir aapko apna pin code type karna hai.
5 - Fir aapko captcha image me diye gaye code ko niche diye column me type karna hai.
6 - Uske baad apko get one time password par click karna hai.
7 - Fir aapke pass ik otp aayega apke registered number par use enter otp column me type kana hai or fir validate & download par click kar dena hai.
2. Fir Aapka aadhaar card download ho jayega jo pdf format me hoga jab aap use open karenge to wo password enter karne ko bolenga waha par aap apna pin code enter karke use open kar sakte hai.
Apko ye post kaisi lagi hume comment karke jarur bataye
टिप्पणियाँ