Mobile Chori Hone Par Apnaye Yeh Tips
Mobile Chori Hone Par Apnaye Yeh Tips
Aapka mobile chori hone par ek hi dar rehta hai ki aapke mobile ka koi glat istemal na kerle.
toh aaiye hum aapko btate hai ki mobile chori hone par kya kare......
1. Track My Phone:
Agar aapka android phone kho gya hai toh sabse phele is feature ka use kare.android phone me ek feature hota hai track my phone ka,jo chori huye phone ki location btata hai.mtalab aapka phone kha hai yeh jankari deta hai.iske liye aapko android device manager ko on rkhna hoga.
aapko bta de ki yeh android device me email id intigratehone ke sath by default on ho jata hai.
yeh option aapko android phone ki settings me milega.
iske liye follow kare yeh steps:
- Settings me jaiye.
- Security ko chune.
- Device administrater me jaiye.
- Android device manager ko on kerde.
phone ke khone par aap track my phone feature ka use web ya kisi dusre mobile se ker sktey hai.
2. Delete Your Data:
Yadi aapko lgta hai ki aap apna mobile filhal prapt nahi ker sktey ya fir kisi dusre ke hath lg gya hai toh yhi se apna phone ke data ko delete kerde.android device manager me yeh service bhi uplabdh hai.yeh feature phone ke data ko remotly delete ker dega.
3. Warning De:
Android device manager me apna phone upyogkarta ko warning bhi de sktey hai.khone ya chori hone ki sthiti me aap upyogkerta ko massage aur optional number bhi de sktey hai,jisse wo aapse smpark ker ske.
4. Secure Your Account:
Aapke smartphone me gmail id ke alawa kai social media apps hotey hai.Aise me phone chori ki sthiti me aapko unhe bhi logout ker dena chahiye.aap kisi dusre mobile se bhi logout ker sktey hai.whi gmail password bhi change kerle.aap computer me id ko kholker sabhi all other setion me log out kerde.
5. Sim Card Block:
Is tarh device manager aur secure your account ke baad ab custmer care me call kerke apne sim cards band kerwade.
6. Unlink Account:
Android phone me email id ke sath hi kai more kaam ke app bhi link hotey hai jese aap draft box aur google drive anything.phone chori hone aur khone ki sthiti me aap in account par web se login ker unlink kerde.unlink ka option profile me setting me security me hota hai.
toh friends kesa lga post comment kerke jrur btaye.kafi mehnat se aapke liye yeh post teyar kiya hai.hmara facebook page like aur post ko share jrur kare.
Aapka chhota bhai JEET SAINI
टिप्पणियाँ