Phone Ki Memory Kese Bdaye

Phone Ki Memory Kese Bdaye

Phone ki memory kese bdaye

Android mobile me internal storage ki sabse bdi smsya hoti hai,kai log iske liye alag se memory rkhtey hai.
Jab bhi hum koi app install kertey hai ya fir kai sari apps install ker letey hai toh phone ki memory kam space ka massage deti hai.
Jo sbse phele android version ka mobile aaya tha usme phele kam memory me kaam chal jata tha.
Lekin ab android 5.0 lolipop ke baad jitne bhi version aaye hai unme laghbhag 16GB internal memory hona jruri hai,agar aapke mobile ki 16 gb internal memory card se kam hai toh us mobile ko khridenge na jiski internal storage 16 gb ho.

Application ko install kerne ke liye aapke intenal storage me kam se kam 500 mb space hona chahiye.

LinktoSD application ka istemal kerke aap is application ka istemal kerke apne phone ki internal storage ko bda sktey hai.

Iske liye aapka mobile root hona jruri hai,Agr aapka mobile root nahi hai toh yeh app thik se kaam nahi krega.
Toh aap sbse phele apne mobile ko root kijiye.

Ab Niche diye gye steps follow kriye aur apne phone ki internal storage bdaiye:

  • Sabse phele aap google play store se LinktoSD app install ker lijiye.
  • Install kerne ke baad app ko open kriye.
  • Ab aapko aapke mobile me install sabhi app dikhayi degi.
  • Ab jo bhi app jyada space de rhi hai use select ker lijiye.
  • Select kerne ke baad niche scroll  kertey huye jaiye aur aapko ek option milega.
  • Move to sd card us per click kriye.
  • Click kerne ke baad kuch hi der me aapki app sd me chli jayegi.
  • Is tarike se aap apne phone memory se sabhi apps hta sktey hai.
  • Iske alawa aapko kuchh aur bhi settings kerni hogi .
  • Linktosd app me aapko 3 dots dikhayi degi.usperclick kriye.
  • Click kerne ke baad aapko settings ka option dikhega,usko select kriye,ab apne mobile ki screen ko scroll krenge toh aapko location ka option dikhayi dega.
  • Location par click kerne ke baad aapko 3 option dikhayi denge,1. automatic 2. internal 3. external.
  • Ab aap external click ker lijiye.
  • Ab aap jitni bhi app install krenge wo aapke card me install honge.
Aise hi apne phone ki storage ko full bhrne se bcha lenge.

Aap aise hi settings apne phone ki settings me kerke apne phone ki internal storage ko bhrne se bcha sktay hai.
Note: jinka mobile root nahi hai we phone ki settings me jaker location change kerke yeh problem dur ker sktey hai.

Post achhi lgi ho toh share jrur kare.
Thanks.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6

Munjya Movie Download Hd | Munjya Full Hd Movie Download

1 Mobile Me 2 WhatsApp Kaise Use Kare