Hackers Se Bachne Ke Liye Phone Me Kare Yeh Settings

Hackers Se Bachne Ke Liye Phone Me Kare Yeh Settings


hackers se bachne ke liye phone me kare yeh settings

Smartphone ho ya computer in dono system par internet ka istemal hota hai.ek bar aap internet ka istemal apne device me kerne lge toh uske hack hone ka dar lga rehta hai.
Yadi aap apne phone me internet ka istemal nahi kertey hai toh aapke phone ko khtra nahi hai.

Kuchh salo phele jab phone me internet exess ka option hi nhi tha tab phone ka data chori bhi nahi ho skta tha.
Hum apne phone ke data ko safe rkhne ke liye internet ka istemal toh band nahi ker sktey hai lekin phone me kuchh settings kerke data ko safe rkh sktey hai.

Darasal phone ka data encycript kerne ke baad phone ka data ek aise format me convert ho jata hai,ki use wo hi read ker skta hai jise wo bheja jaye.

Yeh security phone me password ya pattern se jyada behter hota hai.

Yadi aap bhi chahtey hai ki aapke phone ko koi danger na ho toh yeh settings kare,hackers bhi aapka kuchh bigad nahi payenge.
Phone ko encycript kerne ka tarika kuchh salo me thoda bdal gya hai,halanki inke kaam kerne ka tarika sab phones me ek jesa hi hai.
Kai aise new handset hai jinme encyciption phle se hi active rehta hai.
Phone me kare yeh settings:

Yadi aapke pash android lolipop par operating system ya usse uper ke os par kaam kerne wala smartphone hai toh aapke phone ki settings me jana hoga aur uske baad personal aur fir security me jana hai.

Encycript phone

Security me jane ke baad aapko encycript phone aur encript sd card ka option dikhayi dega.aap encycript phone me jaye aur device ko encycript kerne ki permission dede.

Kai phones me settings alag ho skti hai..

Jesa ki hmne phele bhi btaya ki yeh kai smartphone me alag hota hai.baat syaomi smartphone ki kare toh yeh aapko additional setting me jaker privacy option ke anadr milega.
Jabki motorola ya kai any android phones me yeh settings me security option me milega.

Encycript kerne se phele dhyan rkhe yeh tips:

Apne device ko encycript kerne se phele dhyan rkhe ki aapka phone puri tarh se charge ho,warna encycription ki permission nhi dega.Device ke encycription me 1 hour ya usse jyada time bhi lag skta hai.


Post pasand aaye toh share jrur kare.
Uper hmara facebook page like buton jrur dbaye.
Thanks.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6