Android Phone Ke Top 5 Hide Features Kya Hai Jane

Android  Phone  Ke Top 5  Hide Features Kya Hai Jane

Android phone ke top 5 hide features

Android phone ke uses ke doran user sabse phele jyada call,massanging ,internet aur camere jese features ka istemal kertey hai.Kafi time tak phone ko use ker pane par aap jantey hai ki aap phone ke bare me sari batey jaan chuke hai.lekin aisa nahi hai android phone me tmaam aise features bhi  hai jinke bare me ho skta hai aapko thoda kam pta ho.
lekin yeh features kafi usefull hotey hai.yehna sirf aapke phone ko secure rkhne me helper hotey hai balki aapke phone ko usefully bnatey hai.

1. Dubging:

Yadi aapka android phone shi tarah se usb se connect nahi ho rha hai toh aap apne phone me dubging feature ko on ker sktey hai.
Yadi aap apne pc ke madhym se android phone ko puri tarah se control kerna chahtey hai toh bhi dubging aapke liye usefull hoga.

2. Screen Pining:

Yadi apna phone kisi dusre ko dete hai toh screen pining behad khash hai.screen pining ker phone ko kisi dusre aadmi ke sath share kertey hai toh use sirf itna adhikar hoga ki wo sirf us feature ka use ker skega jiski aap permission denge.Screen printing kerne ke liye aapko sbse phele phone ki settings me jana hoga.
Yha se security ka chunav kerna hoga.
Niche screen par pining ka option milega.Use on kerde.
Ab home par jaker application ko open kare jise pin kerna hai.iske baad task manager boton ko click kare,yeh us application ke sath pin dikhayi dega.
Aapko us pin ko touch karna hai.
Iske sath hi wo application open hoga aur fir sirf usi application ka use kiya ja skta hai.

3. Notification Disable Kare:
Android phone me screen notification aata hai.isme sabse jyada notification news app aur e-commerce app bhejtey hai.aise me aap chahe toh in applications ko disable ker sktey hai.
Iske liye phone ki settings me jaye.
Iske baad us app par click kare jiska notification band kerna hai.
Dayi aur uper hi aapko show notification ka option milega.
Use uncheck kerde.
Iske sath hi aapka kaam ho gya,kai phone me alag se notification ka option hota hai.wha se ek sath kai app ki notification band ki ja sakti hai.

4. Smartphone Lock Kare:

Aapke android phone ka yeh feature bhi bahut usefull hai.isse aap apne phone me location aur face aadharit lock set ker sktey hai.jese abhi aap ghar me hai aur bar-bar phone ko unlock kerna nahi bhultey hai toh aise me aap apne phone me trusted place ka option set ker sktey hai.
Itna hi nahi yadi aapke phone me fingerprint sensore nahi hai toh aap lock me apne face ko set ker sktey hai,isse aapka phone only aapke face se unlock hoga.

5. Offline Game:

Aapke android phone me ek game chhupa ker rkha jata hai.ise aap bina download ke aur bina internet ke khel sktey hai.Ise khelne ke liye aapko phone ki settings me jana hai.wha se about phone me jana hai.
Wha se aapko os version par kuch der touch kerke rkhne ke sath hi game unlock ho jayega.jise aap khel sktey hai.

Post pasand aaye toh share jrur kare.
Hmara facebook page like aur share jrur kare.
Thanks.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6