Google Map Ke 5 New Updated Feature Jane & Use Kare
Google Map Ke 5 New Updated Feature Jane & Use Kare
Google map aapki ek dost ke tarah help kerta hai.Google map Google ki aisi service hai jo karib 10 salo se hume marg batati aa rhi hai.iski madad se hum ek jagah se dusri jagah par badi aasani se phunch jatey hai.
Lekin kya aap jantey hai iska use sirf jagah aur rasta btane ke liye nahi kiya jata hai balki iski help se aap aur bhi kai chize ker sktey ha.
Hum Aapko Google Map ke 5 aur uses ke bare me btayenge:
1. Jagah ko save kare favriate me taki dhundhne me na ho preshani
Agar aapko kisi city ke sabse achhe hotel ya fir cinemahall ka pta nahi malum hai toh aap iski help se use dhundh sktey hai.iske liye aap uper bayi taraf dikh rhe tin bar wale icon par click kriye aur your place ka chunav kare.fir saved option par click kare aur iske baad favriate icon par click kare.
iske baad dusre favriate site ko jodne ke liye + par click kare.map par search kerne se phele jagah ka name dale jesa ki aap aamtor par search kerne me kertey hai.aap jo bhi nyi site chahtey hai use jod sktey hai.
2. Ek se jayada stop wale rout jodne ki permission
Google map aapko ek se adhik rout jodne ki permission deta hai.iske liye + par click kare aur map par jagaho ka chunav kare.fir rout ko vevsthith karne ke liye aapko unhe khinch ker lana hoga.
3.Suggest & Edit
Kai bar Google Map kai probelems bhi peda ker deta hai jese aapki manchahi jagah ki location galat dikhata hai.agar aap aise halt me khud ko patey hai toh yeh app glti sudharne ka moka deti hai.turant Suggest & Edit link par click kare aur use shi data ke sath bhre.aap apni vanchhit disha me koi dusri jagah bhi jod sktey hai jise google map dikhata bhi nahi hai.
4.Traffic ke bare me jane
Aap jis diraction me ja rhe hai us disha me traffic ki sthithi bhi google map aapko btata hai.iske liye sabse phele aapko uper bayi aur dikh rhe tin bar wale icon par click kerna hoga.iske baad traffic par click kerna hoga.iske baad aapko Red,Orange aur Green rang ke 3 rout dikhenge.Red rout sbase jyada zaam wala hoga.Orange rout usse kam aur Green rout normal hoga.
5. Bina internet bhi kerta hai help
Google map aapke search ka kuch hisaa aapki memory me save kerke rkhta hai.agar aap dusre desh me gye aur internet ka istemal nahi kerna chahtey hai toh yeh bahut kaam ka feature hai.
Jab aap search kertey hai google map par toh save,share,aur download ka option aata hai.aap ish last option par click kerke ise save ker sktey hai.
Toh friends kesa lga yeh post comment kerke jrur bataye.
agar typing me koi galti ho toh apna chhota bhai samjhker maf ker dena.
Please hmara Facebook page like jrur kare.
Thanks to read my post.
टिप्पणियाँ