Ghar Bhethe Kese Jane Apne Phone Ki Khrabi

Ghar Bhethe Kese Jane Apne Phone Ki Khrabi
Android phone ki khrabi jane

Agar aapka phone khrab hota hai toh aap use service center leker jatey hai.lekin kai bar aapko lagta hai ki phone me jyada khrabi nahi thi aur thga huaa mehsus kertey hai.iske liye hum aapko kuch apps ke bare me btane ja rhe hai jinse aap ghar bhethe apne phone ki khrabi jan sktey hai.




1. Test Your Android App:

Agar aapne purana phone khridtey toh yeh app istemal ker sktey hai aur apne phone ki khrabi jan sktey hai.iske liye aapko phone me yeh app download kerna pdega.aakrsak interface se lass yeh app kafi usefull hai jo phone ke multitouch capecity  se leker sabhi part ko janchta hai.yeh phone ke touchscreen ki bhi jankari deta hai.yeh app google play store par test your android ke name se uplabdh hai.

2. Phone Docter Plus:

Phone ko service center le jane se pehle is app ko install kerke phone ki khrabi jrur check kerle.yeh phone ke har componet ki jankari deta hai.jankari ke mutabik  Docter Plus App 30 hardware item aur sencer ko test  ker sktey hai.isse earphone or microphone ki bhi janch ker sktey hai.

3. Z Device Test:


Agar phone ke GPS signal,camera,signal,fm radio,bettery,usb,operating sistom aur light senser ki janch kerna chahtey hai toh aap is app ki help le sktey hai.Google play store par ise Z-Device Test ke name se search ker sktey hai.

4. Dead Pixel Detect and Fix App:

Phone ke dishplay me pixel ko leker problem aa rhi hai toh aap Dead Pixel Detect and Fix app ki help  le sktey hai.yeh screen par mojud kisi dead pixel ka pta lgata hai.dead pixel ki pehchan kerne ke liye isme alag prkar ke color background diye gye hai.iske liye yeh pure dishplay ko teji se fair badal ke perbhavit setro ko refresh kerta hai.

5. Sensor Box For Android:(Sabhi Sensor ki janch kare) 

Agar aapko lgta hai ki phone ke kuch sensor ki janch kerna baki reh gya hai toh aap sensor box app ki help le sktey hai.yeh app phone ke sabhi sensor ki janch kerne ke alawa yeh bhi batata haiki ve kese kaam kertey hai.isme yeh bhi jancha  ja skta hai ki konse sensor  hardware ko support ker rahe hai.yeh google play store par Sensor Box for Android ke name se uplabdh hai.


Toh friends kesa lga yehpost comment kerke jrur bataye aur hmara fb page bhi like ker de taki aap roj new updates pad ske.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6

Munjya Movie Download Hd | Munjya Full Hd Movie Download