Android Apps Ko Computer Me Run Kaise Kare

Android Apps Ko Computer Me  Run Kaise Kare


Hello dosto agar aap android game ya android apps ko apne computer ya laptop me chalana Chahte hai to aaj mai aapko iske bare me hi batane wala hu dosto agar aapke pass android mobile nahi hai sirf computer ya laptop hai to mai aapko ek aise softwere ko de raha hu jiski madad se aap apne computer me bhi android app ko install kar payege
dosto aaj ke jamane me laghbhag sare logo ke pass aaj android hai par computer ya laptop nahi aur aaj aise bhi log hai jinke pass computer ya laptop to hai par android device nahi hai to aaj ka mere post un bhaieyo ke liye hai jinke pass android nahi hai hai aur wo apne computer me hi android app ko use karne Chahte hai jaise WhatsApp,Imo ,ANDROID Games ya bahut sare to chaliye dosto jante hai ki kaise chalega android app computer me
bluestocks%2Bko%2Bcomputer%2Bme%2Bkaise%2Brun%2Bkare


Android Games Ko Computer Me Kaise Chalaye?


Dosto android app ko computer me chalane ke liye ek android emulator softwere aata hai jo hame apne computer me install karna hota hai tab jake hi hum apne computer me android app ya game ko chala sakte hai aur Yaha par ye bhi bata deta hu ki agar aapke pass koi aisa game ya apps hai jo aapke mobile me support nahi karta hai to screen size ki wajah se to aap usko apne computer me is app ki madad se chala sakte hai aur kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki Aap apne mobile me koi aisa aap ya game hai jo aapke mobile me run hone se mobile hang karta ho to aap usko bhi computer me run kar sakte hai chahe aapka android app koi bhi ho aapke computer me badheya aur atche se run hoga ab mai aapko bata deta hu ki us computer softwere ko kaise download kare us

Bluestacks Ki Madad Se Apne Computer Me Android App Kaise Chalaye:

 1:  Sabse pehle aap apne computer me bluestacks softwere ko download kare Download Karne Ke Liye Yaha Click Kare

2: Ab download ho jane ke bad aap bluestacks ko apne computer ya laptop me install kare

3: phir aapko install karte samay thoda time lag sakta hai phir jab aapka bluestacks puri tarah install ho jaye tab aap bluestacks ko open kare phir aapko puri tarah bluestacks ko use karne ke liye aap usme apna imel id dal kar use puri tarah configure karle

4: Dosto ab aapke computer me bluestacks puri tarah INSTALL ho chukka hai ab aap jis folder ya file me android app ya game ko rakhe hai pehle usko aap install karle bluestacks me phir aap us aap ya game ko apne computer me run kar sakte hai



to dosto ye post aapko kaisa laga aap comment me jarur bataye aur sath hi sath aap mere site ke facebook page ko like jarur kare aur post atcha lage to apne dosto ke pass share jarur kare

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6