Window 7 kese install kre

Window 7 kese install kare

      Dosto aaj me apko is post me bataunga kaise hum apne laptop ya pc me window 7 install kar sakte hai window 7 ik operating system hai jo Microsoft se registerd hai or Microsoft ka ye product all world me kaafi famous hai aap sabse jyada computer me window hi dekhte honge waise aajkal window 7 ke alawa window 8 or window 10 bhi market me hai or online uplabdh hai par window 7 ik most popular operating system hai or jyadatar isi window ko use kiya jata hai to chaliye jaante hai kese hum apne computer me window 7 install kar sakte hai.



Window 7 install karne ke liye aapke pass window 7 ki bootable dvd ya pendrive honi chahiye or Microsoft se purchased key bhi honi chahiye or ik computer ya lappy jisme aapko window install karna hai hona chahiye agar apke pass ye sab hai to chaliye jaante hai kaise window 7 install ki jaati hai apne system me.


·      Sabse pehle apni bootable dvd ko apni dvd drive me dale or apne computer ko restart kare jab apka computer start ho raha ho to F2 ya DELETE key ko dabaye fir apke samne BIOS setting aa jayegi ap apko BOOT me jaakar sabse pehle option me apni dvd drive ko select karna hai or fir exit par click karke setting ko save karke bahar aa jana hai or fir apka system firse restart hoga or apki window dvd ya pendrive ko run karne lagega or agar nahin karta hai to system ko firse restat kare or keyboard ki koi si bhi key ko dabaye apki dvd run karne lagegi.

·      Uske baad apke pc me starting windows show hoga.


hindi me jaane internet ko

·      Uske baad apke samne kuch option ayenge jisme apse language select karne ko bolega or time and currency set karne ko bolega keyboard ka input set karne ko bolega usme ap jo chahe set kar sakte hai par mera manna hai ap use aie hi chhod de or next par click kar de.

hindi me jaane intenet ko

·      Fir apke samne install now ka option ayega uspar click kare.

hindi me jaane internet ko

·      Agar apki window dvd me ik se jyada window formet hai to jo ap install karna chahte hai use select kare or next par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apse window ke license term ko padhne ke liye bola jayega ap chahe to ise padh sakte hai or fir I accept the license term par tick laga kar next par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apse pucha jayega ap window upgrade karke install karna chahte hai ya custom aap custom par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apse apki hard disk ke alloction ke bare me pucha jaye ap apni disk k yaha par part bana sakte hai jaise local disk c,d,e c drive me apke system ki files or install software or window rehti hai or d or e me aap apne other item rakh sakte hai

hindi me jaane internet ko

·      Fir ap drive option par click karke or fir new par click karke apni drive ke part bana sakte hai or c drive ko select karke next par click karna hai.

hindi me jaane internet ko
·      Fir apki window install hona start ho jayegi is process me thoda time lag sakta hai.

hindi me jaane internet ko

·      Jab ye process khatam ho jayegi to apke comuter par kuch aisa dikhai dega “setup is preparing your computer for first use” yani apka computer first use ke liye set ho ra hai.

hindi me jaane internet ko

·      Uske baad apse user name or computer name puchega use fill karke next par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Ab apse password pucha jayega or sath me password hint bhi pucha jayega taaki agar ap password bhul jaye to hint dekhkar yaad aa jaaye ise bhi bharkar next par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Ab apse window ki product key puchi jayegi apni key ko yaha type kare or agar aap abhi key nahin type karna chahte hai to niche jo tick laga key fill box ke niche use untick kar de or next par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Ab ap chahe to recommended setting use kar sakte hai varna aks me later par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apke samne time and date setting ke liye pucha jayega use set kare or next par click kar de.

hindi me jaane internet ko

·      Fir apse apke computer ki location puchega to aap agar ghar me computer use karte hai to home network par or agar office me use karte hai to work network par or agar public place par use karte hai to public network par click kar de.
know in hindi for net

·      Fir apka setup khatam ho jayega or apki window install ho jayegi.


hindi me jaane internet ko

Tha na kitna asaan window 7 install karna to ab mujhe lagta hai aap acche se samajh gaye honge kese hum window 7 ko apne computer ya laptop par install kar sakte hai.

Apko ye post kaisi lagi hume comment karke jarur bataye or social media par share jarur kare hamari future posts ki jaankari pane ke liye hume subscribe jarur kare email se.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Pubg Mobile 1.6 Update Is Here | Pubg Flora Mode 1.6 | Bgmi 1.6

Munjya Movie Download Hd | Munjya Full Hd Movie Download