Voter id card ke liye online apply kese kare
Hello dosto aaj me apko bataunga aap online voter id card ke liye kaise apply kar sakte hai voter id card hamari pehchan ka pramad hota hai agar apki age +18 hai or apka abhi tak voter id card nahi bana hai to aap bharat ke naagrik nahi mane jaoge.
voter id card hamare liye bahut jaruri hota kyoki iski jarurat hume bahut se sarkari kaamo me pad sakti hai isliye hamare pass voter id card hona chahiye agar aap bharat ke naagrik hai to apko voter id card banwa lena chahiye kyoki voter id card se hi apki naagrikta ka pata chalta hai without voter id card ke aap election me vote bhi nahi kar sakte hai voter id card ki jarurat hume lagbhag har sarkari kaam me padti hai.
To chaliye dosto jante hai hum kaise online voter id card ke liye apply kar sakte hai iske liye apko kuch cheezo ki jarurat hogi jo niche di gayi hai.
1. Scan ki hui haal hi me kheechi hui passport size photo.
2. Apni age ke verification ke liye aap 10 th ki marksheet ka use kar sakte hai.
3. Address verification ke liye ration card.
Dosot agar apke pass ye cheeze hai to ab aage kya karna hai chaliye jante hai.
1.Sabse pehle aapko apne browser me www.nvsp.in likhkar national voters services portal website ko open karna hai.
2.Ab aapko scroll down karke niche aana hai or fir ap dekhenge waha likha hai national services or national services me second number par likha apply online for registration of new voter aapko yaha click karna hai.
3.Fir apke samne form 6 open ho jayega ye form un logo ke liye hota hai jo pehli baar apna voter id card banwa rahe hai agar aapka pehle se voter id card hai or wo kahi kho gaya hai ya kharab ho gaya hai to uske liye apko dusra form bharna padega.
Dosto is form ke bare me mai apko section wise batata hu yani is form ko kaise bharna hai isko me apko tukdo me batata hu jisse apko samjhne me ashani hogi.
- Sabse pehle hum iske sabse uper ke section ko fill karenge.
1 - jaise ki aap upper picture me dekh rahe hai rajya/state likha hua hai apko apne state ko select karna hai jaise agar aap delhi me rehte hai to delhi ko select kare.
2 - Fir aapko apni vidhan shabha ko select karna hai yani apka jo area hai wo konsi vidhan shabha ke under aata hai use yaha select karna hai.
Ye thi apki first upper section ki jankari jo apne bhar di hai or sabse jyada jaruri thi ab jante hai form ko kaise fill karna hai jisse hamara voter id card bina kisi problem ke bankar tayyar ho jaye.
- ab hum first section ki bat karenge yani applicant’s details ki use kaise fill karna hai.
1. Name ki jaghe par apna sahi – sahi name bharna hai English me jo apki 10 th ki marksheet me ho ye name right side ke column me hindi me khud show ho jayega.
2. Agar apka koi surname hai to is colomn me use fill kare.
3. Apne gender ko select kare agar aap male hai to male ko select kare agar female hai to female ko select kare.
4. Ab apko apni age bharni hai 1 january ko aap kitne saal ke ho gaye hai use bhare agar apko nahi pata apke saal ke ho gaye hai to aap niche ke column me apni date of birth bhi bhar sakte hai 10 th ki marksheet me dekhkar.
5. Ab apko apni state ko select karna hai aap konse rajya me rehte hai yaha par apko bharna hai.
6. Fir apko apne district ko bharna hai.
7. Yaha apko apne city ya village yani sahar ya gaaun ko bharna hai.
8. Yaha apko apne janam ka sthan ko bharna hai yani aap kaha paida hue hai us jaghe ka name yaha bhare.
9. Fir apko apne father, mother, husband ka name bharna hai ap teeno me se kisi ik ka name bhar sakte hai agar aap lady hai or shadi ho gayi hai to apne husband ka name bhare.
10. Agar apke father, mother, husband ka koi surname hai to yaha use bhare.
11. Jiska name apne bhara hai uske sath apka kya relation hai wo select kare.
- Agar apne apni applicant’s details bhar di hai to ab second section yani apke pure pate ko fill karte hai.
1.Yaha apko apna house number bharna hai jo apki mother ya father ya husband ke id card me hoga ya or documents me bhi ho sakta hai.
2.Yaha apko apne gali ka name ya colony ka name ya area ka name bharna hai.
3.Yaha apko apne city ya village ka name bharna hai.
4.Yaha apko apne post office ka name bharna hai jaise post office khatima etc.
5.Yaha apko apna post office ka pin code bharna hai.
6.Yaha apko apna tehsil bharna hai jaha par apke area ka tehsil ho wo bhare.
7.Fir apko apna district select karna hai.
8.Yaha apna mobile number bhare.
9.Agar apke pass koi email address hai to use bhi bhare.
- Agar apne second section thikse bhar diya hai to ab third section ki detail ko fill karte hai is section me apko apni family ke un logo ki details bharni hai jinka pehle se hi id card ban gaya hai or fir apko apne document bhi upload karne hai to chaliye jante hai ise kaise karna hai.
1. Sabse pehle apko unka name likhna hai jinka id card pehle se hi bana hua hai fir apka unke sath kya relation hai wo select karna hai aage ke teeno column aap unki id card ko dekhkar bhar sakte hai agar samjh na aye to comment karke puch sakte hai.
2.Yaha par apko apna photo upload karna hai.
3.Yaha par apko apni marksheet ki scan copy upload karni hai.
4.Yaha par apko apna address ka pramad upload karna hai jaise ration card.
- Agar apne is section ko bhi bhar diya hai yani fill kar diya hai to ab last section aata hai declaration chaliye ab ise bharte hai.
1. yaha apko select karna hai aap kitne time se uper diye gaye address par reh rahe hai.
2. Ab apko sumbit par click karna hai.
Apply karne ke kuch dino baad apke pass booth level ka ik adhikari aayega jo apke dwara submit karaye gaye form ki copy sath layega or uspar signature karayega or apke original documents ko verify bhi karega.
Ab apne online voter id card ke liye apply kar diya hai ik mahine me apka voter id card bankar tayyar ho jayega or ap tak pahucha diya jayega agar apko abhi bhi kuch janna hai to mujhe comment karke puch sakte hai.
Apko ye post kaisi lagi hume jarur bataye comment karke or share jarur kare.
टिप्पणियाँ